Laahaq hai yahan marz Mohabbat ka sabhi ko,

Is Shehar k logon mein waba aam bohat hai,

Har darja sharafat ka libada hai orhe,

Aur Dil mein haqarat ki bala aam bohat hai,

Rishton ka yahan paas to rakhtay hain sabhi par,

Hairat hai k Lutnay ki sada aam bohat hai,

Dawa hai k har fard wafadar yahan hai,

Hai darj kitabon mein Jafa aam bohat hai,

Tum naik tamannaein to rakhtay ho bohat Dost,

Is Shehar mein naiki ki saza aam bohat hai.

Aadat Hi Hai Apni Khamosh Rehte Hain,

Yaroon Ki Mohabbat Mein Sarfrosh Rehte Hain,

Hosh Mein Aain Gain To Gham Satain Gain,

Is Liye Hum Aksar Madhosh Rehte Hain.

Jis ghari teri yaadon ka sama hota hai,

Phir humain aaram kahan hota hai,

Hosla mujh mein nahi tujhko bhula deny ka,

Kaam sadiyon ka hai, lamhon mein kahan hota hai.

  • Page 2 of 2
  • <
  • 1
  • 2
`` `

Showing results 5 - 7 of 7 for the category: Emotional SMS.

` ``