Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se

Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se,
K Hat Jaon Main Apne Darmiyan Se,

ابھی فرمان آ یا ہے وہاں سے
کہ ہٹ جاؤں میں اپنے درمیاں سے

Yehan Jo Hai Tanaffus Hi Mein Gum Hai,
Parinde Urr Rahe Hain Shakh-e-Jaan Se,

یہاں جو ہے تنفس ہی میں گم ہے
پرندے اڑ رہے ہیں شاخ جاں سے

Continue reading “Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se”

Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Janan

Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Janan,
Yaad Kia Tujh Ko Dilayen Tera Payman Janan,

اب کے تجدید وفا کا نہیں امکاں جاناں
یاد کیا تجھ کو دلائیں ترا پیماں جاناں

Yunhi Mausam Ki Ada Dekh K Yaad Aaya Hai,
Kis Qadar Jald Badal Jaate Hain Insan Janan,

یوں ہی موسم کی ادا دیکھ کے یاد آیا ہے
کس قدر جلد بدل جاتے ہیں انساں جاناں

Continue reading “Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Janan”

Aashiqui Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo

Aashiqi Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo,
Bawle Ho Jaogy Mahtab Mat Dekha Karo,

عاشقی میں میرؔ جیسے خواب مت دیکھا کرو
باؤلے ہو جاؤ گے مہتاب مت دیکھا کرو

Jasta Jasta Parh Liya Karna Mazamin-e-Wafa,
Par Kitab-e-Ishq Ka Har Baab Mat Dekha Karo,

جستہ جستہ پڑھ لیا کرنا مضامین وفا
پر کتاب عشق کا ہر باب مت دیکھا کرو

Continue reading “Aashiqui Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo”