Dil Ko BaNam-e-Ishq Sajana Para Humain

Dil Ko BaNam-e-Ishq Sajana Para Humain,
Phir Ek Fareb Dil Mein Basana Para Humain,

Ye Kis Ka Haal Kis Ko Sunana Para Humain,
Aur Dil Ka Haal Dil Se Chupana Para Humain,

Jal Kar Bhi Tere Naam Ki Khushbu Bikher Di,
Pholon Mein Aisi Aag Lagana Para Humain,

Daman Ye Khaar Se Nahin Pholon Se Taar Hai, Continue reading “Dil Ko BaNam-e-Ishq Sajana Para Humain”

Shab-e-Zeest k Falak Par Mera Mahtab Tu Hai

Shab-e-Zeest k Falak Par Mera Mahtab Tu Hai,
Mere Ghuncha-e-Wafa Par Jo Khila Gulab Tu Hai,

Jo Shama Umeed Ki Thi Teri Zaat Se Jali Thi,
Aey Tasawary Shakista Pas-e-Iztarab Tu Hai,

Mery Ashkon k Shehar Mein Ye Ajeeb Shor Kesa,
K Hawain Keh Rahi Hein Pas-e-Inqalab Tu Hai,

Tujhe Kia Galay Lagaya Qataye Pata Nahi Tha, Continue reading “Shab-e-Zeest k Falak Par Mera Mahtab Tu Hai”

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota

Tu Bade Pyar Se Chao Say Bade Maan K Sath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko

Aur Betabi Se Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Me Doobi Jo Ghumati Mujh Ko

Main Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti

Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jata Continue reading “Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota”

Chal Nikalti Hain Gham-e-Yaar Se Batein Kia Kia

Chal Nikalti Hain Gham-e-Yaar Se Batein Kia Kia,
Hum Ne Bhi Kin Dar-o-Divar Se Batein Kia Kia,

چل نکلتی ہیں غم یار سے باتیں کیا کیا
ہم نے بھی کیں در و دیوار سے باتیں کیا کیا

Baat Ban Aai Hai Phir Se K Mire Baare Mein,
Us Ne Pochhin Mire Gham-Khwar Se Batein Kia Kia,

بات بن آئی ہے پھر سے کہ مرے بارے میں
اس نے پوچھیں مرے غم خوار سے باتیں کیا کیا

Continue reading “Chal Nikalti Hain Gham-e-Yaar Se Batein Kia Kia”