Ye Chubhan Akailay Pan Ki

Ye Chubhan Akailay Pan Ki, Ye Laggan Udaas Shab Say,

Main Hawa Say Lar Raha Hoon, Tujhe Kia Bataon Kab Say,

Ye Saher Ki Saazishen Thien, K Ye Inteqaam-E-Shab Tha,

Mujhe Zindagi Ka Sooraj Na Bacha Saka Ghazab Say,

Tere Naam Say Shafaa Ho Koi Zakham Wo Ataa Kar,

Mera Naama Bar Milay To Usay Kehna Ye Adab Say,

Wo Jawaan Rutoon Ki Shamein Kahan Kho Gain Hain MOHSIN,

Main To Bujh K Reh Gaya Hon Wo Bicher Gaya Hai Jab Say.

Ye Jo Main Hoon, Mere Honey Ka Sabab Mitti Hai

Ye Jo Main Hoon, Mere Honey Ka Sabab Mitti Hai,

Khaak Hoon Aur Mera Naam-O-Nassab Mitti Hai,

Umar Bhar Main Phira Duniya Tere Pechche Pechche,

Marte Dum Muh Pe Khula Raaz K Sab Mitti Hai,

Ik Taraf Khaak Hai Aur Doosri Jaanib Duniya,

Main Zameen Zaad Hoon Aur Meri Talab Mitti Hai,

Kheench Leti Hai Mere Paaon K Neeche Se Zameen,

Shehar-E-Janaan Teri Galion Ki Ajab Mitti Hai,

Aey Masiha Nafaso Koi Ealaj-E-Gham-E-Khaak,

Aey Mere Chaara Garon, Jaan Balab Mitti Hai,

Tu Agar Hai To Hai Sona Mere Din Ki Chaandi,

Tu Nahi Hai To Ye Sara Zar-E-Shab Mitti Hai,

Woh Bhi Din The K Main Mitti Se Gurezaan Tha Jawaz,

Yeh Bhi Din Hain K Mere Chaarsu Abb Mitti Hai.