Meri Aankhon Pe Marta Tha

Meri Aankhon Pe Marta Tha,
Meri Baaton Pe Hansta Tha,
Najanay Shaks Tha Kesa,
Mujhe Khoney Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno!
Agar Main Bhol Jaon
To
Kabhi Wapis Na Aaon
To
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch,
Yunhi Hansty Raho Gy Kia,
Yunhi Sajty Raho Gy Kia,
Yehi Baatein Hain Bas Us Ki,
Yehi Yaadein Hain Bas Us Ki,
Mujhe Bas Pata Hai Itna,
Mujhe Wo Pyar Karta Tha,
Mujhe Khone Se Darta Tha,
Meri Aankhon Pe Marta Tha.

1 aadmi ro raha tha

1 aadmi ro raha tha.
kisi ne us se waja pochi to us ne jawab diya.
“Mera 1 hi beta tha me ne usay parhaya likhaya socha usay bara aadmi banaon ga us ko metric, inter, bcom, mba r phir bahir parhai ko bheja.
magar…
achanak wo bemar ho gaya or doctors ne jawab de diya r wo apni zindagi k aakhri lamhat gin raha tha..
bola baba mere certificate kahan hain, jab me laya to bola, baba ye meri degreeian na to mujhe bemari se bacha sakin na ye marne k baad mere kuch kaam aaen gi baba… aap ne mujhe QURAN q na parhaya ab me ALLAH ko kia mou dikhaon ga

A silent message