Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun

Main Sans Bhi Gin Kar Leta Hun,
Jis Roz Safar Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Jahan Zaat, Nasal K Jhagro mein,
Hatyar Uthaya Jata Hai,
Har Roz Kai Masoomon Ka,
Jahan Khoon Bahaya Jata Hai,
Jahan Moat Bhi Matam Karti Hai,
Main Us Nagri Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Har Roz Kisi Maa Ka Beta,
Be Moat Hi Mara Jata Hai,
Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko,
Dharti Mein Utara Jata Hai,
Kia Main Bhi Mara Jaunga?
Main Isi Fikar Mein Rehta Hun,
Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai,
Main Usi Shehr Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun.

zindagi k yaadgar din

Maine zindagi mein bohat se dost banaye, Kuch bohat khaas, Kuch bohat pyare  1-2 se to mujhe MOHABBAT bhi bohat thi, Kuch shehar chor gaye, To kisi ne ghar badal lia,  Kisi ne mujhe chor dia, aur kisi ko maine. Kuch doston se rabta hai, kuch se nahi, Kuch apni ana ki waja se rabta nahi kartay, Kahin meri ana mujhe rokti hai. Wo sub jese bhi hen, jahan bhi hen, Mery dil me aaj bhi unka ek khaas moqam hai…

Q k maine un k sath zindagi k yaadgar din guzare hain.
“LOVE YOU FRIENDS”

“I MISS YOU”