Aise Chup Hain K Ye Manzil Bhi Kari Ho Jaisay

Aise Chup Hain K Ye Manzil Bhi Kari Ho Jaisay,
Tera Milna Bhi Judai Ki Ghari Ho Jaisay,

ایسے چپ ہیں کہ یہ منزل بھی کڑی ہو جیسے
تیرا ملنا بھی جدائی کی گھڑی ہو جیسے

Apne Hi Saaye Se Har Gaam Laraz Jaata Hon,
Raste Mein Koi Divar Khari Ho Jaisay,

اپنے ہی سائے سے ہر گام لرز جاتا ہوں
راستے میں کوئی دیوار کھڑی ہو جیسے

Continue reading “Aise Chup Hain K Ye Manzil Bhi Kari Ho Jaisay”

Dil Munafiq Tha Shab-e-Hijr Mein Soya Kaisa

Dil Munafiq Tha Shab-e-Hijr Mein Soya Kaisa,
Aur Jab Tujh Se Mila Toot K Roya Kaisa,

دل منافق تھا شب ہجر میں سویا کیسا
اور جب تجھ سے ملا ٹوٹ کے رویا کیسا

Zindagi Mein Bhi Ghazal Hi Ka Qarina Rakkha,
Khwab-Dar-Khwab Tere Ghum Ko Piroya Kaisa,

زندگی میں بھی غزل ہی کا قرینہ رکھا
خواب در خواب ترے غم کو پرویا کیسا

Continue reading “Dil Munafiq Tha Shab-e-Hijr Mein Soya Kaisa”

Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakkha Hai

Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakkha Hai,
Magar Charagh Ne Lo Ko Sambhal Rakkha Hai,

اگرچہ زور ہواؤں نے ڈال رکھا ہے
مگر چراغ نے لو کو سنبھال رکھا ہے

Bhale Dinon Ka Bharosa Hi Kia Rahen Na Rahen,
So Main Ne Rishta-e-Gham Ko Bahal Rakkha Hai,

بھلے دنوں کا بھروسا ہی کیا رہیں نہ رہیں
سو میں نے رشتۂ غم کو بحال رکھا ہے

Continue reading “Agarche Zor Hawaon Ne Daal Rakkha Hai”