Laahaq hai yahan marz Mohabbat ka

Laahaq hai yahan marz Mohabbat ka sabhi ko,

Is Shehar k logon mein waba aam bohat hai,

 

Har darja sharafat ka libada hai orhe,

Aur Dil mein haqarat ki bala aam bohat hai,

 

Rishton ka yahan paas to rakhtay hain sabhi par,

Hairat hai k Lutnay ki sada aam bohat hai,

 

Dawa hai k har fard wafadaar yahan hai,

Hai darj kitabon mein Jafa aam bohat hai,

 

Tum naik tamannaein to rakhtay ho bohat Dost,

Is Shehar mein naiki ki saza aam bohat hai.