Allah ki Rehmat aur insan k gunah

Ek din Hazrat Moosa (A.S) ne Allah se kaha k mai Aapki Rehmat aur insan k gunah dekhna chahta hn Allah ne frmaya Peche dekho, Dekha to ek bohot bare Samandar k andar 1 drakht par 1 chirya apne mou mai mitti le kr bethi hai,

HazraT Moosa (A.S) ne kaha ye kia.
Allah ne farmaya,

ye Samandar meri Rehmat hai aur ye drakht dunya ye chirya insan aur us k mo mai jo thori c mitti hai wo us k Sare Gunah hain. Agar ye apna mo khol kr mitti(Gunah) pani mai gira de to meri Rehmat ko koi farq nhi parta. To kyon na insan touba kre aur main maaf na kron, insan to Nadan hai.

SUBHAN ALLAH

Sunehri Baatein

KHAMOSHI: Aisa darakht hai jis pr karrwa phal nahi lagta.

HASAD: Aisi deemak hai jo insan ko andar or bahir se khatam karti hai.

SACHAI: Aisi dawa hai jis ki lazzat karrwi magar taseer shehad se ziyada meethi hai. ZAHANAT: Aisa nadir poda hai jo mehnat k bagheir nahi lagta.

KHUSH AKHLAQI: Aisi khushbu hai jo meelon door se mehsoos ho jati hai.

NAFS:  Wo ghorra hai jis pr insan qabu paa le to duniya us k qadmon mein hoti hai…!!

Hazrat Ali (R.A)

GUNAH

“GUNAH”
1. Jis gunah se umar kam hoti hai, wo bivi se BAD SULOOKI hai,
2. Jis gunah se insan per laanat hoti hai, wo JHOOT hai,
3. Jis gunah se pakar hoti hai, wo ZULM hai,
4. Jis gunah se rizq band hota hai, wo ZINA hai,
5. Jis gunah per parda fash ho jata hai, wo NASHA hai,
6. Jis gunah se poori insanyat tabah hoti hai, wo QATAL hai,
7. Jis gunah se nematon ko zawal Aata hai, wo takabbur hai,

Achi baat Phelana Sadqa-e-Jaria hai.

Ahadees Mubarak

Ahadees Mubarak

“Jab tum haya na karo to jo chahe karo.”
Sahi Muslim

“Tum ghayeb ki baten batane waley k pas na jaya karo.”
Sahi Muslim

“Qabron ko Sajda Gah na banao.”
Sahi Muslim

“Lazzaton ko khatam karne wali mout ko kasrat se yaad kia karo.”
Sahi Bukhari

“Duniya mein aisy zindagi guzaro jaisy k musafir ho is duniya mein.”
Sahi Bukhari