Aur Teri Mohabbat (NAZAM)

Teray khayal,
Teray khuwab
Aur teri mohabbat,
Zuban pay ghazal,
Hathon main kitab
Aur teri mohabbat
Gumnam alfaz,
Talkh sawalaat, benaam tehrirain,
Adhoray jawabat,
Aur teri mohabbat

Thandi sehar, sard hawain
Urhtay badal, taiz ghtain
Aur teri mohabbat
Halki dhoop, sohana mosam
Bheegay pair, shafaf aasman
Aur teri mohabbat
Teri baatain, tanha raatain
Kabhi hijr, kabhi mulaqatain
Aur teri mohabbat
Dar o baam, dhalti sham
Kitab qalam, tera naam
Aur teri mohabbat
Phool titli, bhaag o bahaar
Gaata darya, jhoomti lehrain
Aur teri mohabbat
Chamakta chand, jagmag taaray
Awara jugnu, bheeghi shabnam
Aur teri mohabbat

Jaltay chiragh, urhta dhua’an
Tera intizar, wasl ka samaan
Aur teri mohabbat
Chupta suraj, halki barsaat
Dhanak k rang, tera saath
Aur teri mohabbat
Sarhaanay takya, bikhra bistar
Bechain karwatain, raat ka pehar
Aur teri mohabbat….

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai

Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai

Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere ru – ba – ru kehna mujhe tum se Mohabbat hai