Kuch Dost Bohat Yaad Aate Hain

Jab Yaad Ka Qissa Kholon To,
Kuch Dost Bohat Yaad Aate Hain,
Main Guzre Pal Jo Sochon To,
Kuch Dost Bohat Yaad Aate Hain,

Ab Jane Konsi Nagri Mein,
Abad Hain Jakar Muddat Se,
Main Raat Gaye Tak Jagon To,
Kuch Dost Bohat Yaad Aate Hain,

Kuch Batain Thi Pholon Jesi,
Kuch Lehjay Khusbo Jese Thy,
Main Sheher-e-Chaman Mein Tehloon To,
Kuch Dost Bohat Yaad Aate Hain,

Wo Pal Bhar Ki Narazgiyan,
Aur Maan Bhi Jana Pal Bhar Main
Ab Khud Se Jab Bhi Rothon To,
Kuch Dost Bohat Yaad Aate Hain.

Suna Hai Yaad Karte Ho

Suna Hai Yaad Karte Ho,

K Jab Bhi Sham Dhalti Hai,
Hijar Mei Jan Jalti Hai,

Tum Apni Raat Ka Aksar,
Sukoon Barbad Karte Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,

K Jab Panchhi Loat Aate Hain,
Ghamon K Geet Gaatay Hain,

Suno! Tum Loat Aao Na,
Yehi Fariyad Kartay Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,

Sitaray Jab Falak Pe Jagmagate Hain,
Wo Beetay Huway Pal Khoob Rulatay Hain,

Tum Uss Dum Apni Aankhon Mein,
Mujhay Aabaad Karte Ho,

Suna Hai Yaad Karte Ho,
Mujhay Tum Yaad Karte Ho.