Bohat Din Baad Aisa Howa Hai

Bohat Din Baad Aisa Howa Hai,

K Hum Se Aaiyna Rutha Howa Hai,

Humare Hone K Imkan K Aagay,

Na Hone Ka Khala Phela Howa Hai,

Tumhare Jeet Jane Se Ziada,

Humari Haar Ka Charcha Howa Hai,

Bohat Ghul Mil Kar Bi Dunya Se Humne,

Zara Sa Fasla Rakha Howa Hai.

Barishon K Mausam Mein

Barishon K Mausam Mein,

Waqt K Andheron Mein,

Mene Usse Pocha Tha,

Chorr To Na Jao Gay,

Hath Tham Kar Usne,

Kaan Mein Ye Bola Tha,

Kese Chor Sakta Hon?

Tum To Jaan Ho Meri,

Aur Aaj Aisa Hai,

Waqt Ki Tamazat Mein,

WehShton K Mausam Mein,

Mene Usse Pocha Hai,

Chor Kar Hi Jana Tha?

Muskurati Galion Mein

Aas Q Dilayi Thi?

Pyas Q Jagayi Thi?

Mere In Sawalon Per

Chalte Chalte Wo Bola,

Mausam Ki Adat Hai Waqt Pe Badal Jana…

Ye Chubhan Akailay Pan Ki

Ye Chubhan Akailay Pan Ki, Ye Laggan Udaas Shab Say,

Main Hawa Say Lar Raha Hoon, Tujhe Kia Bataon Kab Say,

Ye Saher Ki Saazishen Thien, K Ye Inteqaam-E-Shab Tha,

Mujhe Zindagi Ka Sooraj Na Bacha Saka Ghazab Say,

Tere Naam Say Shafaa Ho Koi Zakham Wo Ataa Kar,

Mera Naama Bar Milay To Usay Kehna Ye Adab Say,

Wo Jawaan Rutoon Ki Shamein Kahan Kho Gain Hain MOHSIN,

Main To Bujh K Reh Gaya Hon Wo Bicher Gaya Hai Jab Say.