Meri Zaat Zarra-e-Benishan

Main wo kis Tarha se Karo Bayan,
Jo Kiye Gaye Hain Sitam Yahan,

Sune Kaun Meri Ye Dastan,
Koi Humnashen Hai Na Raazdan,

Jo Tha Jhoot Wo Bana Sach Yahan,
Nahi Kholi Magar Maine Zuban,

Ye Akela Pan Ye Udasiyan,
Meri Zindagi Ki Hai Tarjuman,

Meri Zaat Zarra-e-Benishan,
Meri Zaat Zarra-e-Benishan,

Kabhi Sooni Subho Mein Ghoomna,
Kabhi Ujri Shaamon ko Dekhna,

Kabhi Bheegi Aankhon Se Jaagna,
Kabhi Beete Lamhon ko Sochna,

Magar aik pal Hai Ummeed ka,
Hai Mujhe Khuda ka Jo Aasra,

Na hi Maine koi Gila Kiya,
Na hi Maine Di Hain Duhaaiyaan,

Meri Zaat Zarra-e-Benishan,
Meri Zaat Zarra-e-Benishan,

Main bataoun kya, Mujhe kya Mile?
Mujhe Sabar Hi ka Sila Mile,

Kisi Aagahi Ki Rida Mile,
Kisi Dard Hi Ka SiLa mile,

Kisi Gham ki Dil Mein Jagah Mile,
Jo Mera Haie wo Mujhe Aa Mile,

Rahe Shaad Yoon Hi Mera Jahaan,
Ke Yaqeen Mein Badle Mera Gumaan,

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan

Author: admin

1 thought on “Meri Zaat Zarra-e-Benishan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *