Us ki nazron ka kamal na poch

Us ki nazron ka kamal na poch,
Ab jo howa hai mera haal na poch,

ho gaye us k saamne zuban band meri,
phir kia kiya us ne mujh se Sawal na poch,

milta hai mujhe her roz khuwab mein,
usay hai mera kitna khayal na poch,

tere sang jo waqt guzra maloom nahi,
judai mein jo guzra wo saal na poch,

taajir to hon main mohabbat ka magar,
howa kis tarha main Kangaal na poch.

Author: admin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *