Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se

Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se,
K Hat Jaon Main Apne Darmiyan Se,

ابھی فرمان آ یا ہے وہاں سے
کہ ہٹ جاؤں میں اپنے درمیاں سے

Yehan Jo Hai Tanaffus Hi Mein Gum Hai,
Parinde Urr Rahe Hain Shakh-e-Jaan Se,

یہاں جو ہے تنفس ہی میں گم ہے
پرندے اڑ رہے ہیں شاخ جاں سے


Daricha Baaz Hai Yaadon Ka Aur Main,
Hawa Sunta Hon Perron Ki Zuban Se,

دریچہ باز ہے یادوں کا اور میں
ہوا سنتا ہوں پیڑوں کی زباں سے

Zamana Tha Wo Dil Ki Zindagi Ka,
Teri Furqat K Din Laun Kahan Se,

زمانہ تھا وہ د ل کی زند گی کا
تری فرقت کے دن لاؤں کہاں سے

Tha Ab Tak Maarka Bahar Ka Darpesh,
Abhi To Ghar Bhi Jana Hai Yehan Se,

تھا اب تک معرکہ باہر کا درپیش
ابھی تو گھر بھی جانا ہے یہاں سے

Fulan Se Thi Ghazal Behtar Fulan Ki,
Fulan K Zakhm Achhe Thy Fulan Se,

فلاں سے تھی غز ل بہتر فلاں کی
فلاں کے زخم اچھے تھے فلاں سے

Khabar Kia Don Main Shahr-e-Raftagan Ki,
Koi Laute Bhi Shahr-e-Raftagan Se,

خبر کیا دوں میں شہر رفتگاں کی
کوئی لوٹے بھی شہر رفتگاں سے

Yehi Anjam Kia Tujh Ko Havas Tha,
Koi Pochhe To Mir-e-Daastan Se.

یہی انجام کیا  تجھ  کو  ہوس  تھا
کوئی پوچھے تو میر داستاں سے

Author: admin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *