Gham Ka Pahar Mom K Jaise Pighal Gaya

Gham Ka Pahar Mom K Jaise Pighal Gaya,
Ek Aag Le K Ashkon Ki Surat Nikal Gaya,

KhushFahmiyon Ko Soch K Main Bhi Machal Gaya,
Jaise Khilauna Dekh K Bacha Bahal Gaya,

Kal Tak To Khelta Tha Vo Sholon Se Aag Se,
Na Jane Aaj Kaise Vo Pani Se Jal Gaya,

Jhulse Badan Ko Dekh K Katra Raha Hai Vo,
Jis K Main Ghar Ki Aag Bujhane Mein Jal Gaya,

Barish Hui Ghamon Ki To Aankhon Ki Seep Mein,
Aansoo Ka Qatra Palkon Se Girte Sambhal Gaya,

Vaise Sabhi To Zeest Se Daman Bacha Liye,
Vo Kaun Hai Jo Maut Se Bach Kar Nikal Gaya,

Taqdeer So Na Jaye Kahin Jagiye Zara,
Dekho Taraqqiyon Ka Bhi Suraj Nikal Gaya,

Gar Ho Sake To Aap Bhi Badlo Miyan Nisar,
Kahna Pare Na Ye Ki Zaman Badal Gaya.

Author: admin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *