Mere saaray raaz-e-hasti kiya benaqaab tuu hai

Shab e zeest ke falak par mera maahtab tuu hai
mere ghuncha-e wafa par jo khila gulaab tuu hai

Jo shama umeed ki thi teri zaat se jali thi
ae tasawwur e shakista pas-e-iztiraab tuu hai

Mere ashkon ke shehar mein yeh ajeeb shor kaisa
ke hawaen keh rahi hain pas-e-inqilab tuu hai

Meri soch se paray tha wohi agaya zuban par
na mein dastan huun teri, na meri kitaab tuu hai

Tujhay kya galay lagaya, qata-i pata nahi tha
arey ishq-e behijabi yahan ik azaab tuu hai

Mujhe raas aanay wala mujhe raas kyun na aaya
yahi gham saata raha hai mera intikhab tuu hai

Woh sharara pal raha hai, yahan tairay mere dil mein
tera iztiraab huun mein, mera iztiraab tuu hai

Mere aaine ke ghar mein tujhay kya jagah diya tha
mere saaray raaz e hasti, kiya be naqaab tuu hai

Yun ‘Nisar’ kaam lena, meri Tishna kaamiyon se
meri pyaas ko bujhaye kahan aisa aab tuu hai

Author: Ahmed Nisar

1 thought on “Mere saaray raaz-e-hasti kiya benaqaab tuu hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *