Qazaaq Aankhen, Gulaab Chehra

Qazaaq Aankhen, Gulaab Chehra, Badan Pe Salwat Nishan Ko Tarsey,
Lipatta Aanchal Simatta Daman Lams Mein Tere Iman Ko Terse,

Lacheeli Baahen Uthen To Tere Badan Ko Aise Kamaan Ker Den,
Har Ek Kaafi Har Ek Kavita Asar Mein Tere Bayan Ko Terse,

Koi Mehakta Garam Tanaffus Koi Chatakta Sureela Naghma,
Dharrakte Seene K Sahilon Mein Koi Lehar To Tufan Ko Terse,

Namood Komal Wajood Resham, Thakan Ko Chunti Aghosh-e-Niswan,
Mere Machalte Ghayoor Jazbe Dua Mein Teri Amaan Ko Terse,

Woh Neeli Nass Mein Sayaal Jaisi Nashay Ko Japti Nabz Ki Maala,
Sharab Jaise Gaahak Ko Dhoonde Khumar Sood-o-Zayan Ko Terse,

Sharar Se Uljha Agan Se Khaila Yeh Shauq Akhir Ko Laut Aaya,
Tawaf-e-Zahir To Ker Liya Ab Nazara Deed-e-Nihan Ko Terse,

Sabhi Se Makhfi Khudi Pe Afshan Saim! Bata De Yeh Raaz Kia Hai,
Qareena Ab Yeh Baeed Ker De Jazab Bhi Ab To Ayaan Ko Terse.

Author: Ifrahim

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *