Raah aasan kar gaya koi

Apni hadd se guzar gaya koi
apni hadd hi mein mar gaya koi

Apne talway lahoo lahoo kar ke
raah aasaan kar gaya koi

Umr bhar koi muntazir hi raha
muskorata guzar gaya koi

Aisa ilzaam uss ke haq mein na tha
dhar ke ilzaam sarr gaya koi

Yun to dil mein maqam hona tha
kyun nazar se utar gaya koi

Aag se bach nikal ke aaya tha
aaj pani se mar gaya koi

Zindagi khawahishon ka ashdah hai
jaan kar bhi udhar gaya koi

Qadr wadon ki jaan kar bhi ‘Nisar’
kaisay hanstaa mukar gaya koi

Author: Ahmed Nisar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *