Ramooz-e-Maslehat ko Zahen Par Taari Nahi Karta

Ramooz-e-Maslehat ko Zahen Par Taari Nahi Karta,
Zameer-e-Aadmiyat se Main Ghaddari Nahi Karta,


Qalam Shakh-e-Sadakat Hai, Zuban Barg-e-Amanat Hai,
Jo Dil Mein Hai Wo Kehta Hon, Adakari Nahi Karta,


Main Aakhir Aadmi Hon Koi Laghzish Ho Hi Jati Hai,
Magar Ek Wasf Hai Mujh Mein, Dil Aazari Nahi Karta,


Main Daman-e-Nazar Mein Kis Liye Sara Chaman Bhar Lon,
Mera Zoq-e-Tamasha Baar Bardari Nahi Karta,


Makafat-e-Amal Khud Raasta Tajvez Karti Hai,
Khuda Qomon Pe Apna Fesla Jari Nahi Karta.

Author: admin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *