.
Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi, Tere Jaan Nisar Chalay Gaye,
Teri Rah Mein Kertay Thay Sar Talab, Sar-E-Rahguzaar Chalay Gaye,
Teri Kaj Adayi Say Haar Kay Shab-E-Intizar Chali Gayi,
Meray Zabt-E-Haal Say Rooth Kar Meray Ghamgusaar Chalay Gaye,
Na Sawal-E-Wasl, Na Arz-E-Gham, Na Hikayatain Na Shikayatein,
Teray Ahd Mein Dil-E-Zaar Kay Sabhi Akhtiyar Chalay Gaye,
Yeh Humen Thay Jin Kay Labas Par Sar-E-Rah Siahi Likhi Gayi,
Yehi Daagh Thay Jo Saja Kay Hum Sar-E-Bazm-E-Yaar Chalay Gaye,
Na Raha Janoon-E-Rukh-E-Wafa, Yeh Rasan Yeh Daar Karogay Kiya,
Jinhain Jurm-E-Ishq Pay Naaz Tha Woh Gunahgar Chalay Gaye.
(Dast-e-Teh-e-Sang) July 1959.
Faiz Ahmed Faiz