Wo Jo Mehv Thy Sar-E-Aaina, Pas-E-Aina Bhi To Dekhty,
Kabhi Roshni Me Wo Teergi Ko Chupa Howa Bhi To Dekhty,
Sar-E-Aab Jo Raha Tashna Lab, To Ye Zabt-E-Gham Ki Hai Inteha,
Mery Haal Pe Thy Jo Nuqta Cheen Mera Hosla Bhi To Dekhty,
Wo Utar Gaye Thy Jo Paar Khud, Mujhe Beech Behar Me Chor Kar,
Tha Jo Un Me Itna Hosla Mujhe Doobta Bhi To Dekhty,
Jinhen Mujhse Hai Ye Gila K Main Raha Be Nayaz-E-Khaloos-O-Rabt,
Mery Gird Rasm-O-Riwaj Ka Kabhi Daira Bhi To Dekhty,
Wo Meri Hansi Se Hain Khush Gumaan, K Nishat-E-Zeest Hai Muddua,
Mery Ashk-E-Gham Ka Ruka Howa Kabhi Qaafla Bhi To Dekhty,
Hoon Saza K Baad Bhi Mohtaram, To Hain Hairaton Me Ye Log Kio?
Zara Zehr-Haq Ka Meri Tarha, Kabhi Zaiqa Bhi To Dekhty,
Wo Bohat Hi Sehal Samajh Rahy Thy Meri Tishnagi Se Mout Ko,
Mery Jism Se Tooti Saans Ka, Wo Rabta Bhi To Dekhty.