Allah ki Rehmat aur insan k gunah

Ek din Hazrat Moosa (A.S) ne Allah se kaha k mai Aapki Rehmat aur insan k gunah dekhna chahta hn Allah ne frmaya Peche dekho, Dekha to ek bohot bare Samandar k andar 1 drakht par 1 chirya apne mou mai mitti le kr bethi hai,

HazraT Moosa (A.S) ne kaha ye kia.
Allah ne farmaya,

ye Samandar meri Rehmat hai aur ye drakht dunya ye chirya insan aur us k mo mai jo thori c mitti hai wo us k Sare Gunah hain. Agar ye apna mo khol kr mitti(Gunah) pani mai gira de to meri Rehmat ko koi farq nhi parta. To kyon na insan touba kre aur main maaf na kron, insan to Nadan hai.

SUBHAN ALLAH

Author: skhan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *