Ajab Junoon-e-Musafat Mein Ghar Se Nikla Tha

Ajab Junoon-e-Musafat Mein Ghar Se Nikla Tha,
Khabar Nahin Hai K Suraj Kidhar Se Nikla Tha,

عجب جنون مسافت میں گھر سے نکلا تھا
خبر نہیں ہے کہ سورج کدھر سے نکلا تھا

Ye Kaun Phir Se Unhin Raston Mein Chor Gaya,
Abhi Abhi To Azab-e-Safar Se Nikla Tha,

یہ کون پھر سے انہیں راستوں میں چھوڑ گیا
ابھی ابھی تو عذاب سفر سے نکلا تھا

Continue reading “Ajab Junoon-e-Musafat Mein Ghar Se Nikla Tha”

Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se

Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se,
K Hat Jaon Main Apne Darmiyan Se,

ابھی فرمان آ یا ہے وہاں سے
کہ ہٹ جاؤں میں اپنے درمیاں سے

Yehan Jo Hai Tanaffus Hi Mein Gum Hai,
Parinde Urr Rahe Hain Shakh-e-Jaan Se,

یہاں جو ہے تنفس ہی میں گم ہے
پرندے اڑ رہے ہیں شاخ جاں سے

Continue reading “Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se”