Allama Iqbal Se Pocha

Allama Iqbal Se Pocha:
Aqal Ki Intiha Kia Hai?

Aap Ne Jawab Diya:
“Hairat”

Phir Pocha Gaya:
Hairat Ki Intiha?

Farmaya:
“Ishq”

Pocha Gaya Ishq Ki Intiha Kia Hai?

Farmaya:
Ishq La Intiha Hai. Is Ki Koi Intiha Nahi.

Sawal Karne Wale Ne Kaha:
Magar Aap Ne Likha Hai K,
“Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hon”

Aap Ne Muskura Kar Farmaya:
Dosre Misre Me Apni Ghalti Ka Aitraaf Bhi Kia Hai K,
“Meri Saadgi Dekh Kia Chahta Hon”

Aaj apni zillat ka sabab ye hai shayad

Hum Kon Hain Kia Hain Ba Khuda Yaad Nahi,
Apne Aslaaf Ki Koi Bhi Adaa Yaad Nahi,

Hai Agar Yaad To Kafir K Taraane Ab Tak,
Hai Nahi Yaad To Kaba Ki Sada Yaad Nahi,

Bint-E-Hawa Ko Nachaate Hain Sar-E-Mehfil Ab Bhi,
Kitne Sang Dil Hain K Rasm-E-Haya Yaad Nahi,

Aaj Apni Zillat Ka Sabab Ye Hai Shayad,
Aaj Hum Ko Apna KHUDA Yaad Nahi.