Chalo Ek Nazm Likhte Hain

Chalo Ek Nazm Likhte Hain,
Kisi K Naam Karte Hain,
Magar Ye Sochna Hai Ab,
K Us Me Zikar Kis Ka Ho,
K Us Me Baat Kis Ki Ho,
K Us Me Zaat Kis Ki Ho,
Aur Ye Bhi Farz Karte Hain,
K Jis Pe Nazm Likhte Hain,
Humain Us Se Mohabbat Hai,
Humare Sare Jazboon Ko,
Bus Us Ki Hi Zarorat Hai,
Chalo Ik Kaam Karte Hain,
K Hum Jo Nazm Likhte Hain,
Wo RAB K Naam Karte Hain,
Wohi Unwan Ho Is Ka,
Usi Ka Zikr Ho Is Mein,
Usi Ki Baat Ho Is Mein,
Usi Ki Zaat Ho Is Mein,
K Wo KHALIQ,
Wohi MALIK,
Wohi RAZIQ,
Wohi Haqdar Hai Is Ka.

Batao Kesa Lagta Hai

Batao Kesa Lagta Hai?
Kisi Ko Paa K Kho Dena,
Kisi K Sath To Chalna,
Magar Us Ka Na Ho Pana,
Khudi Ko Kosty Rehna Magar,
Us ko na kuch kehna,
Khudi Girna, Sanbhalna, Hansna Aur Ro Dena,
Batao Kesa Lagta Hai?
Khazan Ki Sakht Sardi Me,
Hijr Ki Lambi Raaton Me,
Kisi Ki Yaad Me Rona,
Kisi Ko Sochtey Sochtey Apni Ankhen Band Karna
Aur Andheron Me Chalay Jana,
Batao Kesa Lagta Hai?
Naye Rishton Me Rang Jana,
Magar Kisi Ko Bhool Na Pana?

Batao Kesa Lagta Hai?

Mohabbat Hai Mujhe

Mohabbat Hai;
Mujhey Apni Tanhai Se
Jo Mujhe Tumhari Yaad K Qareeb Karti Hai.

Mohabbat Hai;
Mujhe Un Khwabon Se
Jo Sirf Tumhain Dekha Karty Hain.

Mohabbat Hai;
Mujhe Guzarti Har Us Raat Se
Jo Beet Gayi Tumhari Yaad Mein.

Mohabbat Hai;
Mujhe Us Sawal Se
Jis Ka Jawab Tum Ho.

Mohabbat Hai;
Mujhe Apne Dil Se
Jo Dharakta Hai Sirf Tumhary Liye.

Mohabbat Hai;
Mujhe Apni Saans Se
Jis Mein Sirf Tumhara Naam Basa Hai.

Teri Ek Dua K Jawab Mein

Teri Ek Dua K Jawab Mein,
Kia Likhon K Hath Uthey Huwe Hain Sawal Ko,

Tujhe Rab Kabhi Na Malal Dey,
Tujhe Rab Kabhi Na Zawal Dey,
Teri Sab Balaon Ko Tal Dey,
Teri Zindagi Ko Sanwar Dey,
Tujhe Dekh Kar Khilen Gul Yahan,
Tujhe Aisa Husn-o-Jamal Dey,
Tujhe Kia Likhun?
Tujhe Kia Main Dun?
Meri Rab Se Hai Yehi Iltija,
Apni Rehmaton K Gulab Sab,
Wo Teri Khizaon Mein Daal Dey.

Ameen