Bebasi ka koi darmaan nahi krny dety

Bebasi ka koi darmaan nahi krny dety..

Ab to verana b veraan nahi krny dety….

Dil ko sad.lakht kia, senay ko sad.para kia..

Aur hamen chaak greban nahi krny dety….

Un ko islam k lut jany ka dar itna hy..

Ab wo kafir ko muslman nahi krny dety….

Jan baki hy to karny ko bhut baki hy..

Ab wo, jo kuch, k meri jan nahi krny dety….

 

“Faiz Ahmad Faiz” on his 24th aniversary.

Nahi Nigah me Manzil… By Faiz

Nahi nigah me manzil to justuju hi sahi..

Nahi visaal muyassar to Arzoo hi sahi….

 

Na tann me khoon faraham, na ash’k ankhon me..

Namaz e shoq to wajib hy, be.wuzu hi sahi….

 

Kisi tarah to jamy bazm, mai.kady walo..

Nahi jo baada o saghar to, HAO.HOO hi sahi….

 

Gar intizar kathin hy to jab talak ay dil..

Kisi k wada e farda ki guftugu hi sahi….

 

Diyar e ghair me Mehram agar nahi koi..

to FAIZ zikr e watan apny RU.BRU hi sahi…….!

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intizar Guzri Hai

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intizar Guzri Hai,
Talaash Mein Hai Sehar, Bar Bar Guzri Hai,

Junoon mein jitni bhi guzri, beykaar Guzri Hai,
Agar che Dil Pe KHarabi Hazar Guzri Hai,

Woh Baat Saare Fasaane Mein Jis ka Zikra Na Tha,
Woh Baat Unko Bohat NaGavaar Guzri Hai,

Huii Hai Hazrat-e-Naaseh se Guftagu Jis Shab,
Woh Shab Zaruur Sar-e-Kuh-e-Yaar Guzri Hai,

Na Gul Khile hein, Na un Se Mile, Na Mai Pii Hai,
Ajeeb Rung Mein ab Ke Bahaar Guzri Hai,

Chaman Mein Gaarat-e-gulchiin se Jaane Kya Guzri,
Qafas se Aaj Sabaa be-Qaraar Guzri Hai,

Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intizar Guzri Hai,
Talaash Mein Hai Sehar, Bar Bar Guzri Hai.





Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi

.
Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi, Tere Jaan Nisar Chalay Gaye,
Teri Rah Mein Kertay Thay Sar Talab, Sar-E-Rahguzaar Chalay Gaye,

Teri Kaj Adayi Say Haar Kay Shab-E-Intizar Chali Gayi,
Meray Zabt-E-Haal Say Rooth Kar Meray Ghamgusaar Chalay Gaye,

Na Sawal-E-Wasl, Na Arz-E-Gham, Na Hikayatain Na Shikayatein,
Teray Ahd Mein Dil-E-Zaar Kay Sabhi Akhtiyar Chalay Gaye,

Yeh Humen Thay Jin Kay Labas Par Sar-E-Rah Siahi Likhi Gayi,
Yehi Daagh Thay Jo Saja Kay Hum Sar-E-Bazm-E-Yaar Chalay Gaye,

Na Raha Janoon-E-Rukh-E-Wafa, Yeh Rasan Yeh Daar Karogay Kiya,
Jinhain Jurm-E-Ishq Pay Naaz Tha Woh Gunahgar Chalay Gaye.

(Dast-e-Teh-e-Sang) July 1959.
Faiz Ahmed Faiz