Aaya Na Tujhe Raas Koi Ghar Bhi Qafas Bhi

Aaya Na Tujhe Raas Koi Ghar Bhi Qafas Bhi,
Ab Aey Dil-E-Kamzarf Kisi Shehar Me Bus Bhi,

Thukra K Jo Aaya Hai Samundar Ki Sakhawat,
Ab Dasht-E-Musafat Me Ghataon Ko Taras Bhi,

Main Pyas Ka Sehra K Guzar Gah Hon Teri,
Tu Abar Ki Surat Hai Kabhi Mujh Pe Baras Bhi,

Mohsin Mujhe Cherain Gay Bohat Chaand, Nadi, Phool,
Aaya Na Mera Yaar Agar Ab K Baras Bhi.

Meri Chahat Ka Sar-e-Aam

Meri Chahat Ka Sar-e-Aam To Charcha Na Karo,
Kam To Pehly Bhi Nahi Aur To Ruswa Na Karo,

Bhanp Na Jaye Kahen Dil Ki Lagi Ye Dunya,
Yun Shafaq Ban K Mery Chehry Pe Thehra Na Karo,

Baat Choti Si Bhi Afsana Bana Deti Hai,
Tum Kitabon Pe Mery Naam Ko Likha Na Karo,

Dil Ko BeChain Sa Karti Hain Tumhari Aankhen,
Raat Ko Dair Tak Mujhay Tum Socha Na Karo,

Saamny Sab K Karen Kis Tarha Iqraar Mohsin,
Yun Sar-E-Bazm To Us Se Yeh Taqaza Na Karo.

Jab Chaha

Kitna Ikhtyar Tha Usko Apni Chahat Pe MOHSIN,
Is Liye Jab Chaha Yaad Kia Jab Chaha Bhula Dia.

Janta Tha Wo Mujh Ko Bhehlane K Har Andaz FARAZ,
Is Liye Jab Chaha Hansa Dia Jab Chaha Rula Dia.

Rakhta To Tha Wo Mera Bohat Hi Khayal WASI,
Is Liye Jab Chaha Khafa Kia Jab Chaha Mana Liya.

Lagta To Tha Usko Hai Mujhse Bohat Piyar SAAQI,
Is Liye Jab Chaha Apna Bana Liye Jab Chaha Daman Chura Liya,