Meri Ummat ka Hisaab

ASSLAM “O” ALAIKUM

Humare Pyare NABI (Salala Ho Aly Hi Wasalam) Ne Allah se Arz ki:

“Meri Ummat ka Hisaab Mere Supurd kar Dijiye Ta k Doosri Ummaton k Samny Meri Ummat ki Ruswai na ho”

ALLAH ne Farmaya: “Main Chahta hon k Aap ki Ummat ka Hisaab me khud hi Karon Ta k Agar Koi Laghzish ho to Usko Aap se bhi Posheda rakhon.  Ta k ap ki Ummat ki Aap k Samny bhi Ruswai na ho”

‘SUBHANALLAH’ (Bukhari Muslim) ‘Page no#102:

Allah ki Rehmat aur insan k gunah

Ek din Hazrat Moosa (A.S) ne Allah se kaha k mai Aapki Rehmat aur insan k gunah dekhna chahta hn Allah ne frmaya Peche dekho, Dekha to ek bohot bare Samandar k andar 1 drakht par 1 chirya apne mou mai mitti le kr bethi hai,

HazraT Moosa (A.S) ne kaha ye kia.
Allah ne farmaya,

ye Samandar meri Rehmat hai aur ye drakht dunya ye chirya insan aur us k mo mai jo thori c mitti hai wo us k Sare Gunah hain. Agar ye apna mo khol kr mitti(Gunah) pani mai gira de to meri Rehmat ko koi farq nhi parta. To kyon na insan touba kre aur main maaf na kron, insan to Nadan hai.

SUBHAN ALLAH

Sunehri Baatein

KHAMOSHI: Aisa darakht hai jis pr karrwa phal nahi lagta.

HASAD: Aisi deemak hai jo insan ko andar or bahir se khatam karti hai.

SACHAI: Aisi dawa hai jis ki lazzat karrwi magar taseer shehad se ziyada meethi hai. ZAHANAT: Aisa nadir poda hai jo mehnat k bagheir nahi lagta.

KHUSH AKHLAQI: Aisi khushbu hai jo meelon door se mehsoos ho jati hai.

NAFS:  Wo ghorra hai jis pr insan qabu paa le to duniya us k qadmon mein hoti hai…!!

Hazrat Ali (R.A)