Meri Aankhon Pe Marta Tha

Meri Aankhon Pe Marta Tha,
Meri Baaton Pe Hansta Tha,
Najanay Shaks Tha Kesa,
Mujhe Khoney Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno!
Agar Main Bhol Jaon
To
Kabhi Wapis Na Aaon
To
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch,
Yunhi Hansty Raho Gy Kia,
Yunhi Sajty Raho Gy Kia,
Yehi Baatein Hain Bas Us Ki,
Yehi Yaadein Hain Bas Us Ki,
Mujhe Bas Pata Hai Itna,
Mujhe Wo Pyar Karta Tha,
Mujhe Khone Se Darta Tha,
Meri Aankhon Pe Marta Tha.

Kaghaz Kay Phool

Kaghaz Kay Phool

Samjhay Thay Hum Kiyun Unhein Zindagi,
Chaahi Thi Kiyun Hum Nay Un Say Khushi,
Kisi Ki Nahi Ye Thi Apni Hee Bhool,
NiKlay Wo Kaghaz Kay Phool, Ye Hain Kaghaz Kay Phool …

Bahaaron Kay Rang, In Mein Khushbu Kahaan,
Khizaaon Mein Bhi Ye To Lagtay Jawaan,
Hai Daaman Mein Apne Bharay Hum Nay Shool,
NiKlay Wo Kaghaz Kay Phool, Ye Hain Kaghaz Kay Phool …

Chhorra Tha Hum Nay Jis K Liye Ye Jahaan,
Manzil Ko Niklay, Pohnchay Kahaan,
Paayi Hum Nay Un Raahon Ki Dhool,
NiKlay Wo Kaghaz Kay Phool, Ye Hain Kaghaz Kay Phool …

Contributed : Zahid Shah

Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun

Main Sans Bhi Gin Kar Leta Hun,
Jis Roz Safar Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Jahan Zaat, Nasal K Jhagro mein,
Hatyar Uthaya Jata Hai,
Har Roz Kai Masoomon Ka,
Jahan Khoon Bahaya Jata Hai,
Jahan Moat Bhi Matam Karti Hai,
Main Us Nagri Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Har Roz Kisi Maa Ka Beta,
Be Moat Hi Mara Jata Hai,
Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko,
Dharti Mein Utara Jata Hai,
Kia Main Bhi Mara Jaunga?
Main Isi Fikar Mein Rehta Hun,
Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai,
Main Usi Shehr Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun.