Meri Taza Kitab

Ajnabi Wo Bhi Ajab Mosam Tha,
Teri Qurbat Ka Sunehra Mosam,
Teri Khushboo Se Mehakta Howa Gehra Mosam,
Tere Chehrey Ki Tamazat Se Dehakti Subhen,
Teri Zulfon Ki Shubahat Se Lehakti Shamen,
Tery Lehjy Ki Shararat Se Shagufta Lamhen,
Teri Aankhon Mein Larazty Howe Iqrar Ki Lo,
Teri Awaz K Gulposh Abad Zaron Mein,
Khwab Dar Khwab Duaon K Gulab,
Tere Blory Hatho Mein Meri Taza Kitab,
Ajnabhi Ye Bhi Ajab Mosam Hai,
Teri Furqat Ka Jhulasta Mosam,
Aag Ban Kar Meri Sochon Py Barasta Mosam,
Kitna Mehrom-E-Tarab Mosam Hai,
Gham Bhi Jan, Noha Ba Lab Mosam Hai,
Teri Khushbo Ka Jazeera Na Teri Yaad Ka Shehar,
Meri Uas Uas Mein Utarta Howa Tanhai Ka Zehr,
Zehr Ki Lehar,
Zehr Ki Lehar K Hamrah Tery Dard Ka Qehar,
Qriya-E-Jan Mein Utarta Hai To Yon Lagta Hai,
Jesy Nazl Ho Kisi Shehr-E-Chraghan Py Azab,
Jesy Be Aab-O-Hawa Rut Mein Jhulas Jayen Gulab,
Dil Mein Abad Dard Bikharta Hai To Yon Lagta Hai,
Is Tarha Tot Rahi Ho Kisi Khemy Ki Tanab,
Aisy Lagta Hai K Is Bar Na Choo Paye Gi,
Tery Blory Hathon Ko Meri Taza Kitab…

Humary Hath Khali Hain

Humary Hath Khali Hain,

Muqaddar Se Ulajhti Anginat In Mein Lakiren Hain,
Lakiron Mein Kahani Hai, Humari Zindagani Hai,

Magar Phir Bhi Ye Lagta Hai,
Humary Hath Khali Hain,

Kahin Maazi Numayan Hai, Kahin Asbab Dikhty Hain,
Jo Hum Ab Jhelty Hain, Wo Sabhi Halat Dikhty Hain,

Jo Pal Ab Tak Nahi Aaye, Wo Sabhi In Mein Samaye Hain,
Magar Ye Sab Kuch Poshida Hai, Sabhi Adwaar Mubham Hain,

Humary Aany Waly Pal, Humary Hath Mein Gum Hain,
Magar Phir Bhi Ye Lagta Hai, Humary Hath Khali Hain,

Main Pehron Apny Hathon Ki Lakiren Takti Rehti Hon,
Magar Apni Hatheli Pe Nahi Dikhti Mujhy Hargiz,

Wo Ik Sa’at Jo Khizan Rut Ko Baharon Mein Badalti Ho,
Wo Ik Lamha Jo Sadiyon Ki Thakan Ko Maat De Jaye,

Wo Ik Rasta Jo Pal Bhar Mein, Manzil Ko Pohanch Jaye,
Meri Takmeel Kar Jaye,

Main Pehron Takti Rehti Hon,
Ulajhti In Lakeron Ko, Magar Ab Tak Nahi Milti,

Wo Ik Sa’at K Jis Pe, Wasal Ka Pegham Likha Ho,
Wo Ik Rekha Jis Pe, Tera Mera Naam Likha Ho.

Raat Ka Aakhri Pehar Tha

Raat Ka Aakhri Pehar Tha,
Mujh Se Chand Ne Kaha,
Hum Nashen Alvida,
Mujh Ko Neend Aa Rahi Hai,
Kal Milain Gay Isi Jagha,
Sun Kar Main Muskura Diya,
Us Ko Batla Diya,
Jaanay Walay Louttay Nahi,
Tum Nahi Aao Gay,
Mujhe Hai Yaqeen,
Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya,
Aur Kehnay Laga,
Tum Se Wada Karoon,
Phir Poora Na Karoon,
Aisa Mumkin Nahi,
Sun Aey Hum Nasheen,
Main Chaand Hoon Koi Insaan Nahi.

Mera Asasa

Kuch Waade, Qasme, Yaadein Thin,
Kuch Qehqahe Thy, Faryaadein Thin,

Kuch Aanso Thy, Jo Bahaye Thy,
Kuch Dhoky Thy, Jo Khaye Thy,

Kuch Lehjon Ki Parchaiyan Thin,
Kuch Dil Ko Rog Lagaye Thy,

Ab Paas Humare Kuch Bhi Nahi,
Ab Aas K Maare Kuch Bhi Nahi,

Bus

Yaadon Ki Zanjeeren Hain,
Kuch Rang Urri Tasveeren Hain,

Kuch Lafz Miti Tehreeren Hain,
Ek Dil Jo Deed Ka Pyasa Hai,

Bus yehi,
Mera Asasa Hai…