Ek Qissa Tumhe Sunata Hon

Tum Jo Meri Baat Suno
Ek Qissa Tumhe Sunata Hon,
Ye Qissa Naye Zamane Ka,
Ye Qissa Hai Ek Parwane Ka,
Jo Pal Pal Jeeta Marta Tha,
Jo Pyar Bohat Hi Karta Tha,
Har Baat Usse Maloom To Thi,
Ek Baat Magar Wo Bhula Betha Tha,
Shama Ko Hasil Karne Me,
Khud Apna Aap Jala Betha,
Yun Ishq Ki Had Se Guzarne Mein,
Parwane K Ji Marnay Mein,
Jagti Hai Na Soti Hai,
Shama Ab Her Pal Roti Hai,
Udaas Bohat Ab Wo Rehti Hai,
Khud Se Her Pal Kehti Hai,
Kion Bani Main Anjan Rahi,
Main Uska Pyar Na Jaan Saki,
Kio Usse Na Pehchan Saki,
Shama ab Her Pal Roti Hai,
Jagti Hai Na Soti Hai.
Shama ab Her Pal Roti Hai,

Mujhay Duaon Mein Yaad Rakhna

Mujhey Duaon Mein Yaad Rakhna,
Main Wo Musafir Hon Jiska Rasta Bohat Kathin Hai,
Mera Asasa Hi Dosti Hai.
Ye Ghup Andheron Mein Roshni Hai,
Ye Kali Raaton Mein Chandni Hai,
Esi Saharey Guzar Rahy Hain,
Ye Zindagi K Haseen Lamhain,
Ye Meri Izzat,
Ye Meri Shohrat,
Hain Doston Ki Dua Ka Hasil,
Mujhay Duaon Ka Aasra Hai,
Meri Bas Itni Si Iltija Hai,
Meri Umeedon Ki Laaj Rakhna,
Mujhay Duaon Mein Yaad Rakhna,
Mujhay Duaon Mein Yaad Rakhna.

Suno Aey Chand Se Sathi

Suno Aey Chand Se Sathi,
Abhi Tum Keh Rahe They Na,
Tumhe Mujhse Mohabbat Ho Nahi Sakti,
Chalo Mana K Ye Sach Hai,
Magar Aey Chand Se Sathi,
Mujhe Itna Batao Tum K,
Jab Mosam Badalte Hain,
Gullo Mein Rang Bharte Hain,
To Phir Kio Muztarib Hokar,
Akele Pan Se Ghabra Kar,
Hawa Ko Raaz Dete Ho,
Mujhe Awaaz Dete Ho,
Chalo Mana Tumhe Mujhse,
Mohabbat Ho Nahi Sakti,
Magar Itna Samajh Lo Tum,
Jahan Chahat Nahi Hoti,
Waha Nafrat K Hone Ka
Koi Imkan Nahi Hota…