Us ney kaha key

Us ney kaha key maat bohat gehri hoti hai
Sagar jesi is mein jo bhi doob gaya wo
Phir kab ubhara!
Jeet ko preet ki reet banao
Mein ney kaha ye baat bohat gehri hai lekin
Ye bhi to socho
Dil na hota senay mein to preet kaha’n thi?
Maat na hoti jewan mein to jeet kaha’n thi ?

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri

Na Wajood Apna, Na Rooh Apni,
Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri,

Na Dillagi Mein Sakoon Paya,
Na Aashiqi Mein Qarar Paya,

Na Visal Lamhay Hi Raas Aaye,
Na Firaq Hi Hum Guzar Paye,

Ajab Ye Chahat k Marhaly Hain,
Na Jeet Paye Na Haar Paye,

Na Hi Yaadon ki Dhundh Utri,
Na Dil K Daaman Ko Jharr Paye,

Na Aankhain Khwaboon ko Dhoondh Paein,
Na Khwab Aankhon Ko Dhoondh Paye,

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri,
Bas Ek Tamasha Ye Zeest Tehri.

Meri Aankhon Pe Marta Tha

Meri Aankhon Pe Marta Tha,
Meri Baaton Pe Hansta Tha,
Najanay Shaks Tha Kesa,
Mujhe Khoney Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno!
Agar Main Bhol Jaon
To
Kabhi Wapis Na Aaon
To
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch,
Yunhi Hansty Raho Gy Kia,
Yunhi Sajty Raho Gy Kia,
Yehi Baatein Hain Bas Us Ki,
Yehi Yaadein Hain Bas Us Ki,
Mujhe Bas Pata Hai Itna,
Mujhe Wo Pyar Karta Tha,
Mujhe Khone Se Darta Tha,
Meri Aankhon Pe Marta Tha.