Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun

Main Sans Bhi Gin Kar Leta Hun,
Jis Roz Safar Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Jahan Zaat, Nasal K Jhagro mein,
Hatyar Uthaya Jata Hai,
Har Roz Kai Masoomon Ka,
Jahan Khoon Bahaya Jata Hai,
Jahan Moat Bhi Matam Karti Hai,
Main Us Nagri Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Har Roz Kisi Maa Ka Beta,
Be Moat Hi Mara Jata Hai,
Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko,
Dharti Mein Utara Jata Hai,
Kia Main Bhi Mara Jaunga?
Main Isi Fikar Mein Rehta Hun,
Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai,
Main Usi Shehr Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun.

Meri Taza Kitab

Ajnabi Wo Bhi Ajab Mosam Tha,
Teri Qurbat Ka Sunehra Mosam,
Teri Khushboo Se Mehakta Howa Gehra Mosam,
Tere Chehrey Ki Tamazat Se Dehakti Subhen,
Teri Zulfon Ki Shubahat Se Lehakti Shamen,
Tery Lehjy Ki Shararat Se Shagufta Lamhen,
Teri Aankhon Mein Larazty Howe Iqrar Ki Lo,
Teri Awaz K Gulposh Abad Zaron Mein,
Khwab Dar Khwab Duaon K Gulab,
Tere Blory Hatho Mein Meri Taza Kitab,
Ajnabhi Ye Bhi Ajab Mosam Hai,
Teri Furqat Ka Jhulasta Mosam,
Aag Ban Kar Meri Sochon Py Barasta Mosam,
Kitna Mehrom-E-Tarab Mosam Hai,
Gham Bhi Jan, Noha Ba Lab Mosam Hai,
Teri Khushbo Ka Jazeera Na Teri Yaad Ka Shehar,
Meri Uas Uas Mein Utarta Howa Tanhai Ka Zehr,
Zehr Ki Lehar,
Zehr Ki Lehar K Hamrah Tery Dard Ka Qehar,
Qriya-E-Jan Mein Utarta Hai To Yon Lagta Hai,
Jesy Nazl Ho Kisi Shehr-E-Chraghan Py Azab,
Jesy Be Aab-O-Hawa Rut Mein Jhulas Jayen Gulab,
Dil Mein Abad Dard Bikharta Hai To Yon Lagta Hai,
Is Tarha Tot Rahi Ho Kisi Khemy Ki Tanab,
Aisy Lagta Hai K Is Bar Na Choo Paye Gi,
Tery Blory Hathon Ko Meri Taza Kitab…

Humary Hath Khali Hain

Humary Hath Khali Hain,

Muqaddar Se Ulajhti Anginat In Mein Lakiren Hain,
Lakiron Mein Kahani Hai, Humari Zindagani Hai,

Magar Phir Bhi Ye Lagta Hai,
Humary Hath Khali Hain,

Kahin Maazi Numayan Hai, Kahin Asbab Dikhty Hain,
Jo Hum Ab Jhelty Hain, Wo Sabhi Halat Dikhty Hain,

Jo Pal Ab Tak Nahi Aaye, Wo Sabhi In Mein Samaye Hain,
Magar Ye Sab Kuch Poshida Hai, Sabhi Adwaar Mubham Hain,

Humary Aany Waly Pal, Humary Hath Mein Gum Hain,
Magar Phir Bhi Ye Lagta Hai, Humary Hath Khali Hain,

Main Pehron Apny Hathon Ki Lakiren Takti Rehti Hon,
Magar Apni Hatheli Pe Nahi Dikhti Mujhy Hargiz,

Wo Ik Sa’at Jo Khizan Rut Ko Baharon Mein Badalti Ho,
Wo Ik Lamha Jo Sadiyon Ki Thakan Ko Maat De Jaye,

Wo Ik Rasta Jo Pal Bhar Mein, Manzil Ko Pohanch Jaye,
Meri Takmeel Kar Jaye,

Main Pehron Takti Rehti Hon,
Ulajhti In Lakeron Ko, Magar Ab Tak Nahi Milti,

Wo Ik Sa’at K Jis Pe, Wasal Ka Pegham Likha Ho,
Wo Ik Rekha Jis Pe, Tera Mera Naam Likha Ho.