Sawan ki suhani ratoun mein

Sawan ki suhani ratoun mein ulfat ka zamana yaad Aaya,

bheegay is mousam mein ek khwaab sohana yaad Aaya,

 

pehley aksar woh hum se milne Aaya kartey they,

guzrey jab us koochy se to nazron ka milana yaad Aaya,

 

kuch manzar aisey bhi hotey hain Aankhon mein jo bas jaatey hain,

hum toot kar roye qismat pe jab waqt purana yaad Aaya