Agar Ghalat Fehmiyan Door Na Ki

(Beautiful Thoughts)
“Agar Ghalat Fehmiyan Door Na Ki Jain To Woh Nafraton Mein Tabdeel Ho Jati Hain.”

“Jo Shakhs Tum Say Dosron Kay Ayeb Bayan Karta Hai Woh Yaqeenan, Dosron Say Tumhari Burai Bhi Bayan Karta Hai.”

“Pani Bano Jo Rasta Khud Banata Hai, Pathar Na Bano Jo Rasta Rokta Hai.”

Allama Iqbal Se Pocha

Allama Iqbal Se Pocha:
Aqal Ki Intiha Kia Hai?

Aap Ne Jawab Diya:
“Hairat”

Phir Pocha Gaya:
Hairat Ki Intiha?

Farmaya:
“Ishq”

Pocha Gaya Ishq Ki Intiha Kia Hai?

Farmaya:
Ishq La Intiha Hai. Is Ki Koi Intiha Nahi.

Sawal Karne Wale Ne Kaha:
Magar Aap Ne Likha Hai K,
“Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hon”

Aap Ne Muskura Kar Farmaya:
Dosre Misre Me Apni Ghalti Ka Aitraaf Bhi Kia Hai K,
“Meri Saadgi Dekh Kia Chahta Hon”