Sab Bhool Chuka Hoon

Dunia Se Mujhy Pyar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,
Ek Shakhs Mera Yaar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Bakhshi Hai Mujhy Pyar Kay Badle Mein Judai,
Jo Bhi Tera Kirdar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Bas Itna Mujhy Yaad Hai Ik Wasal Ki Shab Thi,
Iqrar Tha Inkar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Haan Meri Khata Thi K Tujhy Toot K Chaha,
Haam Main Hi Gunehgar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Ek Shakhs Nay Pagal Sa Bana Rakha Tha “Wasi”
Main Kitna Samajh Dar Tha, Sab Bhool Chuka Hoon,

Kabhi Aansoo Chupa Chupa K Roye

Kabhi Aansoo Chupa Chupa K Roye,
Kabhi Dastan-e-Gham Suna Suna K Roye,

Raat Katti Hai Intazar-e-Yaar Mein,
Hum Raat Bhar Taron Ko Jaga Jaga K Roye,

Phir Wo Na Aye Raat Ka Wada Kar K,
Hum Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye,

Aaj Raat Unke Aane Ki Ummeed Thi Humain,
Wo Na Aye Hum Ghar Ko Saja Saja K Roye,

Suna Hai Wasi Dua Se Hoti Hai Murad Pori,
Aray Hum To Saari Raat Haath Utha Utha K Roye.

Veeran Bohat Hon Vasal Se Tashkeel Kar Mujhe

Veeran Bohat Hon Vasal Se Tashkeel Kar Mujhe,
To Mujhse Pyar Kar Zara Tabdeel Kar Mujhe,

Sehra Ki Tapti Rait Se Aa Kar Mujhe Bacha,
To Thande Meethe Pani Ki Jheel Kar Mujhe,

Ho Jaye Na Kharab Kaheen Meri Aadatain,
Har Hukm Par Na Is Tarha Taameel Kar Mujhe,

Ab Is Tarha Say Mujhko Adhura Na Chorr Tu,
Main Hoon Tera Wada To Ab Takmeel Kar Mujhe,

Choh Kar Mera Wajood Tajalli Si Bakhsh De,
Main Ek Andheri Raat Hon Qandeel Kar Mujhe.

Kis Kadar Anokha hai raabta Mohabbat ka

Kis Kadar Anokha hai raabta Mohabbat ka,
Kab na janay ho jaye Mojza Mohabbat ka,

Apni zaat se bhi wo Ajnabi sa lagta Hai,
Jis k Sath ho jaye Hadsa Mohabbat ka,

Wo chala hi jata hai Jis ne Jana Hota Hai,
Lakh do chahay usko wasta Mohabbat ka,

Zindagi mein Jeenay Ka Aasra nahi Rehta,
Jab Kisi se Chinn Jaye Hosla Mohabbat Ka,

Doston se Wasi Agar Tumhain Mohabbat Hai,
Doston ko Mat Dena Mashwara Mohabbat Ka.