Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Bade Pyar Se Chao Say Bade Maan K Sath
Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Betabi Se Furqat K Khizan Lamho Mein
Tu Kisi Soch Me Doobi Jo Ghumati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jati
Mar Mari Hath Ka Ek Takiya Banaya Karti
Main Tere Kaan Se Lag Kar Kayi Baatein Karta
Jab Bhi Tu Band-e-Qaba Kholne Lagti Jana
Apni Aankhon ko Tere Husn Se Khaira Karta
Teri Zulfoon Ko Tere Gaal Ko Chera Karta
Mujh Ko BeTaab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Rooh K Gulshan Mein Mehakta Rehta
Main Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye BayNaam Sa Bandhan Hota
Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
(Syed Wasi Shah)
واہ