Sambhala Hai Hosh Jab Se, Muqaddar Sakht-Tar Nikla,
Parra Hai Wasta Jisse Wohi Teer-O-Tabar Nikla,
Sabaq Deta Raha Jo Umar Bhar Roshan Khayali Ka,
Usay Jab Paas Se Dekha, To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahy They Hum,
Usay Jab Chu K Dekha, Faqat Khaki Bashar Nikla,
Mohabbat Ka Khumar Utra, To Tab Sabit Howa Hum Par,
Jisy Hum Umar Samjhe Thy Wo Bemaqsad Safar Nikla.