Baba Mere

Baba Mere Payare Baba, Mujhko Bhi Tum Yaad Aate Ho,
Mama Meri Pyari Mama, Tumbhi Mujhko Yaad Aati Ho.
Baba Mere…

Ye Na Samajhna Haar Gaya Hon, Main Duniya Se Paar Gaya Hon,
Beta Hon Main Tera Baba, Aaj Haseen Hai Mera Baba,
Tumko Fakhar Hai Mujhpe Baba, Naaz Jahan Ko Tujhpe Baba,
Sehlena Ye Judai Baba, Jo Qismat Me Ai Hai Baba,
Khwabon Mein Ab Baat Rahe Gi, Yaad Meri Tere Sath Rahe Gi,
Baba Mere…

Ilm Ki Dolat Bharti Rahy Gi, Continue reading “Baba Mere”

Meri Aankhon Pe Marta Tha

Meri Aankhon Pe Marta Tha,
Meri Baaton Pe Hansta Tha,
Najanay Shaks Tha Kesa,
Mujhe Khoney Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno!
Agar Main Bhol Jaon
To
Kabhi Wapis Na Aaon
To
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch,
Yunhi Hansty Raho Gy Kia,
Yunhi Sajty Raho Gy Kia,
Yehi Baatein Hain Bas Us Ki,
Yehi Yaadein Hain Bas Us Ki,
Mujhe Bas Pata Hai Itna,
Mujhe Wo Pyar Karta Tha,
Mujhe Khone Se Darta Tha,
Meri Aankhon Pe Marta Tha.

Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun

Main Sans Bhi Gin Kar Leta Hun,
Jis Roz Safar Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Jahan Zaat, Nasal K Jhagro mein,
Hatyar Uthaya Jata Hai,
Har Roz Kai Masoomon Ka,
Jahan Khoon Bahaya Jata Hai,
Jahan Moat Bhi Matam Karti Hai,
Main Us Nagri Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun,
Har Roz Kisi Maa Ka Beta,
Be Moat Hi Mara Jata Hai,
Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko,
Dharti Mein Utara Jata Hai,
Kia Main Bhi Mara Jaunga?
Main Isi Fikar Mein Rehta Hun,
Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai,
Main Usi Shehr Mein Rehta Hun,
Ek Khauf Zada Jiwan Le Kar,
Main Moat K Ghar Mein Rehta Hun.