Humary Hath Khali Hain,
Muqaddar Se Ulajhti Anginat In Mein Lakiren Hain,
Lakiron Mein Kahani Hai, Humari Zindagani Hai,
Magar Phir Bhi Ye Lagta Hai,
Humary Hath Khali Hain,
Kahin Maazi Numayan Hai, Kahin Asbab Dikhty Hain,
Jo Hum Ab Jhelty Hain, Wo Sabhi Halat Dikhty Hain,
Jo Pal Ab Tak Nahi Aaye, Wo Sabhi In Mein Samaye Hain,
Magar Ye Sab Kuch Poshida Hai, Sabhi Adwaar Mubham Hain,
Humary Aany Waly Pal, Humary Hath Mein Gum Hain,
Magar Phir Bhi Ye Lagta Hai, Humary Hath Khali Hain,
Main Pehron Apny Hathon Ki Lakiren Takti Rehti Hon,
Magar Apni Hatheli Pe Nahi Dikhti Mujhy Hargiz,
Wo Ik Sa’at Jo Khizan Rut Ko Baharon Mein Badalti Ho,
Wo Ik Lamha Jo Sadiyon Ki Thakan Ko Maat De Jaye,
Wo Ik Rasta Jo Pal Bhar Mein, Manzil Ko Pohanch Jaye,
Meri Takmeel Kar Jaye,
Main Pehron Takti Rehti Hon,
Ulajhti In Lakeron Ko, Magar Ab Tak Nahi Milti,
Wo Ik Sa’at K Jis Pe, Wasal Ka Pegham Likha Ho,
Wo Ik Rekha Jis Pe, Tera Mera Naam Likha Ho.