Behkawa

Shehar Ki Aankh Mein Kajal Phehla,
Girti Parti Raat Chali Jab……..

Jagtey Lamhon Ne Phir Ye socha,

Neend Ka Kesa Uljhawa Hai,
khwab Hai Ya Phir Behkawa Hai…

Shehar Ki Aankh Mein Kajal Phehla…

Jal Thal Kar Deti Hai Sab Kuch,
Bheegti Shaam Ki Tanhai Bhi,
Chubhti Hai Seeny Mein Jesay,
Koi Gehra Pachtawa Hai…….,
Khwab Hai Ya Phir Behkawa Hai,

Shehar Ki Aankh Mein Kajal Phehla…

(Faseeh Bari Khan)

Ab Agar Aaoo To Janey ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aaoo To Janey ke Liye Mat Aana,
Sirf Ahsaan Jataney kay Liye Mat aana,

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain,
Dil Par Umeed Ki So Shamein Jala Rakhi Hain,
Ye Haseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana,

Pyar ki Aag Mein Zanjeer Pighal Sakti Hain,
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hain,
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana,

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi,
Tum Sirf Rasmen Nibhaney ke Liye Mat Aana.