Best SMS for You

All Type of SMS, Funny SMS, Love SMS and Much More

Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai

Wo Jo Haal Tha Wahi Haal Hai, Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai,
Wohi Zindagi K Wabaal Hain, Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai,

Wohi Bay Yaqeeni Hai Koo Ba Koo, Wohi Na Umeedi Hai Chaar Soo,
Jo Bhi Hai Sarapa Sawal Hai, Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai,

Wohi Dast-O-Paa Wohi Chashm-O-Lab, Jo Gahin Mein Thay Woh Gahin Mein Hain
Wohi Hussn Jis Pay Zawaal Hai, Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai,

Wohi Intashaar Si Zindagi, Hai Wohi Ghubaar Si Zindagi,
Wohi Saans Laina Muhaal Hai, Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai,

Wohi Phool Phool Pe Tetliyaan Hain, Darri Howi K Marri Howi,
Wohi Bay Hissi Ki Misaal Hai, Kahon Kis Tarha Naya Saal Hai,

Wohi Khwab Hain Keh Azzab Hain, Wohi Roz O Shab K Saraab Hain,
Wohi Gardish-e-Maah-o-Saal Hai, Kahonn Kis Tarha Naya Saal Hai.

Bas yahi main ne faisla na kiya

Wo kabhi aap se wafa na kiya
Khud se khud ko agar judaa na kiya

Bhool jana hi ek raah magar
Bhool jaane ka hausla na kiya

Khud ko paun ya khud ko kho jaun
Bas yahi main ne faisla na kiya

Umr bhar dho raha hai deewana
Haye kyoN khud se raabta na kiya

Be-khudi me khudi ko gum karke
Hosh paane ka mud-dua na kiya

Mujh ko mujh se thi iss qadar ulfat
Marz-e-beja ki bas dawa na kiya

Kya NISAR aap jaante hain isey
Ayena guftagu rawa na kiya

Dafn Jo Sadyon Taly Hai Wo Khazana De De

دفن جو صدیوں تلے ہے وہ خزانہ دے دے

ایک لمحے کو مجھے اپنا زمانہ دے دے

 

چھاپ دے اپنے خدوخال مری آنکھوں پر

پھر رہائش کے لئے آئینہ خانہ دے دے

 

اور کچھ تجھ سے نہیں مانگتا میرے آقا

نا رسائی کو زیارت کا بہانہ دے دے Continue reading “Dafn Jo Sadyon Taly Hai Wo Khazana De De”

Categories

Top Authors

Copyright © 2010. Best SMS for You