Wafa Parast Jahan-e-Wafa ko Le Doobey

Wafa Parast Jahan-e-Wafa ko Le Doobey,
Ajeebb Baat Hai Bandey Khuda ko Le Doobey,

وفا پرست جہان وفا کو لے ڈوبے
عجیب بات ہے بندے خدا کو لے ڈوبے

Ye Kaali Kaali Ghata Jo Barasne Waali Hai,
Maza to Jab Hai kisi Parsa ko le Doobey,

یہ کالی کالی گھٹا جو برسنے والی ہے
مزہ تو جب ہے کسی پارسا کو لے ڈوبے

Continue reading “Wafa Parast Jahan-e-Wafa ko Le Doobey”

Ye Na Thi Humari Qismat ki Wisaal-e-Yaar Hota

Ye Na Thi Humari Qismat ki Wisaal-e-Yaar Hota,
Agar Aur Jeete Rahte Yahi Intizar Hota,

یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصال یار ہوتا
اگر اور جیتے رہتے یہی انتظار ہوتا

Tere Waaday Par Jiye Hum To Ye Jaan JhooT Jaana,
Ke Khushi Se Mar Na Jaate Agar Aitbaar Hota,

ترے وعدے پر جیے ہم تو یہ جان جھوٹ جانا
کہ خوشی سے مر نہ جاتے اگر اعتبار ہوتا

Continue reading “Ye Na Thi Humari Qismat ki Wisaal-e-Yaar Hota”

Ay Ghum-e-dil kya karoN, ay wahshat-e-dil kya karoN

Shehar ki raat aur Main nashad-o-nakara phiroN
Jagmagati jaagti sarkoN peh aawara phiroN
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroN
Ay Ghum-e-dil kya karoN, ay wahshat-e-dil kya karoN

شہر کی رات اور میں ناشاد و ناکارا پھروں
جگمگاتی جاگتی سڑکوں پہ آوارا پھروں
غیر کی بستی ہے کب تک در بہ در مارا پھروں
اے غم دل کیا کروں اے وحشت دل کیا کروں

Continue reading “Ay Ghum-e-dil kya karoN, ay wahshat-e-dil kya karoN”