Wo Mujhse Be-Sabab Uljha Nahi Tha

Wo Mujhse Be-Sabab Uljha Nahi Tha,
Wo Pehle Kabhi Aisa Nahi Tha,

 

Bohat Aala Tha Uska Zarf Lakin,
Wo Meri Zaat Ko Samjha Nahi Tha,

 

Wo Jitni Be-Rukhi Se Chal Dia Tha,
Main Itna Bhi Gaya Guzra Nahi Tha,

 

Ussay Main Kion Burra Tehraon Yaron,
Wo Acha Tha Faqat Mera Nahi Tha.

Sambhala Hai Hosh Jab Se

Sambhala Hai Hosh Jab Se, Muqaddar Sakht-Tar Nikla,
Parra Hai Wasta Jisse Wohi Teer-O-Tabar Nikla,

 

Sabaq Deta Raha Jo Umar Bhar Roshan Khayali Ka,
Usay Jab Paas Se Dekha, To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,

 

Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahy They Hum,
Usay Jab Chu K Dekha, Faqat Khaki Bashar Nikla,

 

Mohabbat Ka Khumar Utra, To Tab Sabit Howa Hum Par,
Jisy Hum Umar Samjhe Thy Wo Bemaqsad Safar Nikla.

ADHOORA PYAR

ADHOORA PYAR

Chalo Tum Saath Mat Dena,

Mujhe Beshak Bhula Dena,

Naye Sapne Saja Lena,

Naye Rishte Bana Lena,

Bhula Dena Sabhi Waday,

Sabhi Qasmein Sabhi Natay,

Tumhain Jana Ijazat Hai,

Jo Dil Chahay Wo Sab Karna,

Magar Ab Tum Kisi Se Bhi,

ADHORA PYAR Mat Karna.