Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin

Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin,
Meri Aankhon Mein Koi Khwab Nahin,

اب کسی سے مرا حساب نہیں
میری آنکھوں میں کوئی خواب نہیں

Khoon K Ghoont Pi Raha Hon Main,
Ye Mera Khoon Hai Sharab Nahin,

خون کے گھونٹ پی رہا ہوں میں
یہ مرا خون ہے شراب نہیں


Main Sharabi Hon Meri Aas Na Cheen,
Tu Meri Aas Hai Sarab Nahin,

میں شرابی ہوں میری آس نہ چھین
تو مری آس ہے سراب نہیں

Noch Phenke Labon Se Maine Sawal,
Taqat-e-Shokhi-e-Jawab Nahin,

نوچ پھینکے لبوں سے میں نے سوال
طاقت شوخئ جواب نہیں

Ab To Punjab Bhi Nahin Punjab,
Aur Khud Jaisa Ab DoAb Nahin,

اب تو پنجاب بھی نہیں پنجاب
اور خود جیسا اب دو آب نہیں

Gham Abd Ka Nahin Hai Aan Ka Hai,
Aur Is Ka Koi Hisab Nahin,

غم ابد کا نہیں ہے آن کا ہے
اور اس کا کوئی حساب نہیں

Budash Ik Ru Hai Ek Ru Yaani,
Is Ki Fitrat Mein Inqalab Nahin.

بودش اک رو ہے ایک رو یعنی
اس کی فطرت میں انقلاب نہیں

(Jaun Elia)

Author: Abdullah

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *