Aik din aik aalim bazar me betha tha

Aik din aik aalim bazar me betha tha.
Badshah ne pocha:
Kia kar rahy ho?
Aalim ne kaha:
Bandon ki Allah se sulah karwa raha hon. Allah to maan raha hai magar bandy nai maan rahey.
Kuch dino baad Aalim Qabristan me betha tha.
Badshah ne kaha:
Kia kar rahy ho?
Aalim ne kaha:
Allah ki bandon se sulah karwa raha hon.
Magar aaj bandy to maan rahy hain Allah nai maan raha.

Musalmano ko waswasy me dalney k liye

1 yahodi aalim ne ek majmay me 3 sawal kiye, Musalmano ko waswasy me dalney k liye.

ALLAH aik hai to us se pehley bhi to koi ho ga?
Agar ALLAH hai to us ka chehra kis taraf hai?
ALLAH ab kia kar raha hai?

Majmay me ek 9 saal ka bacha utha usne yahodi se kaha,
Ginti gino.
1,2,3,4,5,6,7 yahodi ne ginti gini.
phir bachay ne kaha ab isay ulta gino.
7,6,5,4,3,2,1 jab yahodi ne 1 kaha to bachay ne kaha 1 k pechay kia hai?
yahodi bola kuch nahi.
to bacha bola bas ALLAH 1 hai us k baad sab aata hai ALLAH se pehley kuch nahi.

2nd sawal k jawab,
1 diya (mombati) laya aur jalaya. pocha is ki roshni ka mu kis taraf hai.
to yahodi ne kaha charo taraf.

bacha: ALLAH NOOR hai ALLAH har taraf hai.

3rd ka jawab:
ALLAH ek 9 saal k bachay se 1 yahodi aalim ko zalil karwa raha hai.

Aisy hoty hain Hukamran

Ek bar langar taqseem ho raha tha.
1 shakhs ne 2 admiyon ka khana manga.
Jab usse sawal kia gaya k 2 admiyon ka khana kio?
To usne kaha 1 mere liye aur 1 us shakhs k liye jo kony mein betha sukhi roti pani mein dabo k kha raha hai.
Is par usay jawab mila usi ka dia to hum takseem kar rahy hain.

Us shakhs ne pocha kon hain wo?
Jawab mila: Wo humaray khaleefa Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) hain.

Aisy hoty hain Hukamran.