Meri Roz-O-Shab Hai yahi Dua

Aey Mere RUB koi Zabt De Na jalal De, Mujhe Sirf itna kamal De,

Mujhe Apni rah pe Dal De, K Zamana Meri Misal De,

 

Jo Teri Rehmaton ka Nazol Ho,  Muje Mehnato ka Sila Mile,

Mujhe Mal-O-Zar ki Hawas Na Ho,   Mujhe Bus Tu Rizq-E-Halal De,

 

Mere Zehn Me Teri Fikr Ho,  Meri Sans Me Tera Zikr Ho,

Tera Khauf Meri Nijat ho,  Sabhi Khauf Dil Se Nikal De,

 

Teri Bargah Me Aey RUB, Meri Roz-O-Shab Hai yahi Dua,

Tu RAHEEM Hy Tu KAREEM Hy, Tu Mujhy Mushkilon se Nikal De

 

***** ( “Aameen”) *****

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai,

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Aur Tabeeron Ko Pana Hai,

Kuch Log Hain Ujray Dil Walay,
Un Sab Mein Pyar Basana Hai,

Aur Khizan Raseeda Angan Mein,
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai,

Kuch Toba Karni Baqi Hai,
Aur Rab Ko Humain Manana Hai,

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chhukana Hai

Agr samandar 1 jaga khara rehta

Agr samandar 1 jaga khara rehta mojo k bager to is me bimariyan phelane wale ajza peda hote.
Lekin ALLAH Pak ne isko chala dia or hila dia bal’k is me qadr-e zarurat namkiyaat bi shamil krdi jo k pani ko kharab hone se bachaati hen, Apko malum hoga meetha pani namkeen pani me milta bi nai ha, Aur ALLAH Pak ne hamare aansu bi qeemti bnaye or is me bi namkiyaat miladi warna hamari aankhen sarH jati.

“To tum apne RABB ki kon kon si nematon ko jhutlaoge?”