Dafn Jo Sadyon Taly Hai Wo Khazana De De

دفن جو صدیوں تلے ہے وہ خزانہ دے دے

ایک لمحے کو مجھے اپنا زمانہ دے دے

 

چھاپ دے اپنے خدوخال مری آنکھوں پر

پھر رہائش کے لئے آئینہ خانہ دے دے

 

اور کچھ تجھ سے نہیں مانگتا میرے آقا

نا رسائی کو زیارت کا بہانہ دے دے Continue reading “Dafn Jo Sadyon Taly Hai Wo Khazana De De”

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai,

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Aur Tabeeron Ko Pana Hai,

Kuch Log Hain Ujray Dil Walay,
Un Sab Mein Pyar Basana Hai,

Aur Khizan Raseeda Angan Mein,
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai,

Kuch Toba Karni Baqi Hai,
Aur Rab Ko Humain Manana Hai,

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chhukana Hai

Teri Raza Ki Talash Hai

Mujhe Zindagi Me Qadam Qadam Pe Teri Raza Ki Talash Hai,
Tery Ishq Mein Aey Mere Khuda Mujhe Inteha Ki Talash Hai,

Main Gunahon Mein Hun Ghira Howa, Main Zameen Pe Hoon Gira Howa,
Jo Mujhe Gunah Se Nijat De, Mujhe Us Dua Ki Talash Hai,

Main Ne Jo Kia Wo Bura Kia, Main Ne Khud Ko Khud Hi Tabah Kia,
Jo Tujhe Pasand Ho Mere Rab Mujhe Us Ada Ki Talash Hai,

Tere Dar Pe Hi Mera Sar Jhuke, Mujhe Aur Kuch Nahi Chahiye,
Mujhe Sab Se Kar De Jo Beniaz Mujhe Us Anaa Ki Talash Hai.