Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai,

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Aur Tabeeron Ko Pana Hai,

Kuch Log Hain Ujray Dil Walay,
Un Sab Mein Pyar Basana Hai,

Aur Khizan Raseeda Angan Mein,
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai,

Kuch Toba Karni Baqi Hai,
Aur Rab Ko Humain Manana Hai,

Ae Mah-E-Ramzan Aahista Chal,
Abhi Khasa Qarz Chhukana Hai

Kal Marhaba ki sada thi, ab Alvidah Ramzan

Kal Marhaba ki sada thi, ab Alvidah Ramzan,

Kuch Waqt ka Mehman tha Magar Ban Gaya tha Jan,

Rehmat Maghfirat Jahnum se Nijaat thi Is Main,

Kis Ne Paya Kis ne Khoya Mah-e-Nuzool-e-Quran,

Ab Waqt-e-Rukhsat Aankhein Ashk Bar Hain,

Alvida Mahe Ramzan Alvida Mahe Ramazan.

O Allah let this Moon pass over

O Allah let this Moon (Month) Pass over us with Blessings, Iman, Safety and in the belief of ISLAM.

Grant us the ability to act on the actions that you love and pleases you.
Ameen